dip ulfat ke har ek dil mein jalate chaliye
diip ulfat ke har ik dil meñ jalāte chaliye
haiñ jo duniyā meñ añdhere vo miTāte chaliye
ye ta'assub ye 'adāvat ye zabāñ ke jhagḌe
in sharāroñ ko tah-e-ḳhāk dabāte chaliye
tazkira jis kā zabāñ par ho chaman vāloñ kī
phuul aisā koī sahrā meñ khilāte chaliye
mere ḳhāmosh irādoñ ko samajhiye pahle
rāz-e-fitrat ko na afsāna banāte chaliye
besh-qīmat hai lahū chāhe kisī kā ho 'adīm'
nasl-e-insāñ ko ye ehsās dilāte chaliye
dip ulfat ke har ek dil mein jalate chaliye
hain jo duniya mein andhere wo miTate chaliye
ye ta'assub ye 'adawat ye zaban ke jhagDe
in shararon ko tah-e-KHak dabaate chaliye
tazkira jis ka zaban par ho chaman walon ki
phul aisa koi sahra mein khilate chaliye
mere KHamosh iradon ko samajhiye pahle
raaz-e-fitrat ko na afsana banate chaliye
besh-qimat hai lahu chahe kisi ka ho 'adim'
nasl-e-insan ko ye ehsas dilate chaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.