diwan wufur-e-gham se mera rah gaya ghalat
dīvāñ vufūr-e-ġham se mirā rah gayā ġhalat
mazmūñ ġhalat radīf ġhalat qāfiya ġhalat
ik ik ghaḌī firāq meñ sau sau baras kī thī
be-yār sab hisāb mah-o-sāl thā ġhalat
gar tum naqāb uThāo ruḳh-e-tāb-dār se
ḳhurshīd kā ho da.avā-e-nūr-o-ziyā ġhalat
ḳhush hai vahī razā pe jo sābit-qadam rahe
hotā nahīñ nasīb kā likkhā huā ġhalat
kis kis ḳhatā-e-kār ko 'nāyāb' ro.uuñ maiñ
mere har ek kaam kī hai ibtidā ġhalat
diwan wufur-e-gham se mera rah gaya ghalat
mazmun ghalat radif ghalat qafiya ghalat
ek ek ghaDi firaq mein sau sau baras ki thi
be-yar sab hisab mah-o-sal tha ghalat
gar tum naqab uThao ruKH-e-tab-dar se
KHurshid ka ho dawa-e-nur-o-ziya ghalat
KHush hai wahi raza pe jo sabit-qadam rahe
hota nahin nasib ka likkha hua ghalat
kis kis KHata-e-kar ko 'nayab' roun main
mere har ek kaam ki hai ibtida ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.