diwangi se kaam liya hai kabhi kabhi
dīvāngī se kaam liyā hai kabhī kabhī
dāman kisī kā thaam liyā hai kabhī kabhī
kartā rahā kisī ko bhulāne kī koshisheñ
yuuñ dil se intiqām liyā hai kabhī kabhī
had se sivā jo baḌhne lagīñ be-qarāriyāñ
aise meñ un kā naam liyā hai kabhī kabhī
nazreñ milī huī thiiñ tabassum laboñ pe thā
saaqī se yuuñ bhī jaam liyā hai kabhī kabhī
ḳhud ro diyā kisī ko hañsāne ke vāste
majbūriyoñ se kaam liyā hai kabhī kabhī
shāyad mirī vafā use yaad aa.ī mere baad
us ne bhī merā naam liyā hai kabhī kabhī
ḳhud aag de ke apne nasheman ko aap hī
bijlī se intiqām liyā hai kabhī kabhī
kaam aa ga.iiñ 'sa.īd' kī mastāna laġhzisheñ
us ko kisī ne thaam liyā hai kabhī kabhī
diwangi se kaam liya hai kabhi kabhi
daman kisi ka tham liya hai kabhi kabhi
karta raha kisi ko bhulane ki koshishen
yun dil se intiqam liya hai kabhi kabhi
had se siwa jo baDhne lagin be-qarariyan
aise mein un ka nam liya hai kabhi kabhi
nazren mili hui thin tabassum labon pe tha
saqi se yun bhi jam liya hai kabhi kabhi
KHud ro diya kisi ko hansane ke waste
majburiyon se kaam liya hai kabhi kabhi
shayad meri wafa use yaad aai mere baad
us ne bhi mera nam liya hai kabhi kabhi
KHud aag de ke apne nasheman ko aap hi
bijli se intiqam liya hai kabhi kabhi
kaam aa gain 'said' ki mastana laghzishen
us ko kisi ne tham liya hai kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.