diwanon mein zikr-e-dil-e-diwana rahega
dīvānoñ meñ zikr-e-dil-e-dīvāna rahegā
jab maiñ na rahūñgā mirā afsāna rahegā
gesū kī bhī nig.hat se vo begāna rahegā
dīvāna tirī zulf kā dīvāna rahegā
majnūñ ne kahā najd meñ mujh se dam-e-āḳhir
ābād tire dam se ye vīrāna rahegā
hāthoñ meñ vo mehñdī bhī maleñ dil kā lahū bhī
donoñ kā magar rañg judāgāna rahegā
ka.abe kī taraf jaane ko ham jā.eñge zāhid
dil mahv-e-ḳhyāl-e-rah-e-but-ḳhāna rahegā
ārām milegā na zamāne meñ 'jigar' ko
dil meñ jo na tū ai ġham-e-jānāna rahegā
diwanon mein zikr-e-dil-e-diwana rahega
jab main na rahunga mera afsana rahega
gesu ki bhi nighat se wo begana rahega
diwana teri zulf ka diwana rahega
majnun ne kaha najd mein mujh se dam-e-aKHir
aabaad tere dam se ye virana rahega
hathon mein wo mehndi bhi malen dil ka lahu bhi
donon ka magar rang judagana rahega
kabe ki taraf jaane ko hum jaenge zahid
dil mahw-e-KHyal-e-rah-e-but-KHana rahega
aaram milega na zamane mein 'jigar' ko
dil mein jo na tu ai gham-e-jaanana rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.