diwar ban gae the jo mausam badal gae
dīvār ban ga.e the jo mausam badal ga.e
aa jā.iye ki shaam ke saa.e bhī Dhal ga.e
ātish-fishāñ pahāḌ the laave nigal ga.e
shātir-mizāj log na.ī chaal chal ga.e
hālāñki baat sach hī kahī thī zamīr ne
lekin bahut hī talḳh the alfāz khal ga.e
sub.h-e-shab-e-siyāh baḌe tumtarāq se
sūraj ugā rahī thī magar haath jal ga.e
aa.ī shab-e-siyāh ziyā-bāriyoñ ke saath
shukr-e-ḳhudā ki apne bure din bhī Tal ga.e
jaise kisī kā sūr-e-sarāfīl phūñknā
duniyā-e-dard kaañp uThī dil dahal ga.e
is darja pā.edār safīna thā azm kā
tūfān aa.e aur irāde badal ga.e
dekhā mazāq uḌāne lagīñ phir bulandiyāñ
ham phir 'ufuq' hudūd se aage nikal ga.e
diwar ban gae the jo mausam badal gae
aa jaiye ki sham ke sae bhi Dhal gae
aatish-fishan pahaD the lawe nigal gae
shatir-mizaj log nai chaal chal gae
haalanki baat sach hi kahi thi zamir ne
lekin bahut hi talKH the alfaz khal gae
subh-e-shab-e-siyah baDe tumtaraq se
suraj uga rahi thi magar hath jal gae
aai shab-e-siyah ziya-bariyon ke sath
shukr-e-KHuda ki apne bure din bhi Tal gae
jaise kisi ka sur-e-sarafil phunkna
duniya-e-dard kanp uThi dil dahal gae
is darja paedar safina tha azm ka
tufan aae aur irade badal gae
dekha mazaq uDane lagin phir bulandiyan
hum phir 'ufuq' hudud se aage nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.