diwar-e-takalluf hai to mismar karo na
dīvār-e-takalluf hai to mismār karo nā
gar us se mohabbat hai to iz.hār karo nā
mumkin hai tumhāre liye ho jā.ūñ maiñ āsāñ
tum ḳhud ko mire vāste dushvār karo nā
gar yaad karoge to chalā ā.ūñgā ik din
tum dil kī guzargāh ko hamvār karo nā
bāhar ke mahāzoñ kī tumheñ fat.h mubārak
ab nafs ke shaitāñ ko giraftār karo nā
kahnā hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat
khul ke kabhī jazbāt kā iz.hār karo nā
har rishta-e-jāñ toḌ ke aayā huuñ yahāñ tak
tum bhī mirī ḳhātir koī īsār karo nā
'aijāz' tumhāre liye sāhil pe khaḌā huuñ
dariyā-e-vafā mere liye paar karo nā
diwar-e-takalluf hai to mismar karo na
gar us se mohabbat hai to izhaar karo na
mumkin hai tumhaare liye ho jaun main aasan
tum KHud ko mere waste dushwar karo na
gar yaad karoge to chala aaunga ek din
tum dil ki guzargah ko hamwar karo na
bahar ke mahazon ki tumhein fath mubarak
ab nafs ke shaitan ko giraftar karo na
kahna hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat
khul ke kabhi jazbaat ka izhaar karo na
har rishta-e-jaan toD ke aaya hun yahan tak
tum bhi meri KHatir koi isar karo na
'aijaz' tumhaare liye sahil pe khaDa hun
dariya-e-wafa mere liye par karo na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.