diwar yaad aa gai dar yaad aa gaya
dīvār yaad aa ga.ī dar yaad aa gayā
do gaam hī chale the ki ghar yaad aa gayā
kuchh kahnā chāhte the ki ḳhāmosh ho ga.e
dastār yaad aa ga.ī sar yaad aa gayā
duniyā kī be-ruḳhī kā gila kar rahe the log
ham ko tirā tapāk magar yaad aa gayā
phir tīrgī-e-rāhguzar yaad aa ga.ī
phir vo charāġh-e-rāhguzar yaad aa gayā
'ajmal'-sirāj ham use bhūle hue to haiñ
kyā jaane kyā kareñge agar yaad aa gayā
diwar yaad aa gai dar yaad aa gaya
do gam hi chale the ki ghar yaad aa gaya
kuchh kahna chahte the ki KHamosh ho gae
dastar yaad aa gai sar yaad aa gaya
duniya ki be-ruKHi ka gila kar rahe the log
hum ko tera tapak magar yaad aa gaya
phir tirgi-e-rahguzar yaad aa gai
phir wo charagh-e-rahguzar yaad aa gaya
'ajmal'-siraj hum use bhule hue to hain
kya jaane kya karenge agar yaad aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.