diwaron mein dar hota to achchha tha
dīvāroñ meñ dar hotā to achchhā thā
apnā koī ghar hotā to achchhā thā
us kā rangīñ āñchal oḌh ke so jaate
aur aisā aksar hotā to achchhā thā
rañg aa jaate muTThī meñ jugnū ban kar
ḳhushbū kā paikar hotā to achchhā thā
bādal parbat jharne peḌ parinde chup
vo bhī saath agar hotā to achchhā thā
kyuuñ āvāra phirte suunī galiyoñ meñ
koī agar ghar par hotā to achchhā thā
diwaron mein dar hota to achchha tha
apna koi ghar hota to achchha tha
us ka rangin aanchal oDh ke so jate
aur aisa aksar hota to achchha tha
rang aa jate muTThi mein jugnu ban kar
KHushbu ka paikar hota to achchha tha
baadal parbat jharne peD parinde chup
wo bhi sath agar hota to achchha tha
kyun aawara phirte suni galiyon mein
koi agar ghar par hota to achchha tha
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 14.02.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.