diwaron se kan laga kar baiThe ho
dīvāroñ se kaan lagā kar baiThe ho
pahre par darbān lagā kar baiThe ho
is se ziyāda kyā bechoge duniyā ko
saarā to sāmān lagā kar baiThe ho
dukh meñ Duubī āvāzeñ na sun paa.e
aisā bhī kyā dhyān lagā kar baiThe ho
bech rahā huuñ maiñ to apne kuchh sapne
tum to sañvīdhān lagā kar baiThe ho
ham ne to gin Daale haiñ TuuTe va.ade
tum keval anumān lagā kar baiThe ho
apne ghar ke darvāze kī taḳhtī par
apnī jhūTī shaan lagā kar baiThe ho
ḳhuub añdhere meñ Duube in logoñ se
sūraj kā armān lagā kar baiThe ho
juujh rahī hai kaThin savāloñ se duniyā
tum ab bhī āsān lagā kar baiThe ho
kitne achchhe ho tum apne bāhar se
achchhā sā insān lagā kar baiThe ho
diwaron se kan laga kar baiThe ho
pahre par darban laga kar baiThe ho
is se ziyaada kya bechoge duniya ko
sara to saman laga kar baiThe ho
dukh mein Dubi aawazen na sun pae
aisa bhi kya dhyan laga kar baiThe ho
bech raha hun main to apne kuchh sapne
tum to sanwidhan laga kar baiThe ho
hum ne to gin Dale hain TuTe wade
tum kewal anuman laga kar baiThe ho
apne ghar ke darwaze ki taKHti par
apni jhuTi shan laga kar baiThe ho
KHub andhere mein Dube in logon se
suraj ka arman laga kar baiThe ho
jujh rahi hai kaThin sawalon se duniya
tum ab bhi aasan laga kar baiThe ho
kitne achchhe ho tum apne bahar se
achchha sa insan laga kar baiThe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.