dikha didar ai dildar mere
dikhā dīdār ai dildār mere
mire monis are ġham-ḳhvār mere
terī ulfat ne phūñkā jān-o-dil ko
shitābī le ḳhabar ai yaar mere
maiñ aajiz nā-tavāñ miskīñ gadā huuñ
shah-e-hind-ul-valī sarkār mere
karo nazar-e-atā ai shāh-e-ālī
suno dil ke kabhī iz.hār mere
tere kyā ishq ne aafat machā.ī
janāb-e-sayyad-e-abrār mere
tamāmī dil kā ho maqsūd hāsil
ayaañ hoñ dil meñ sab asrār mere
sadā hai ishq 'mīrāñ' shaah ke dil meñ
ho qismat meñ tirā darbār mere
dikha didar ai dildar mere
mere monis are gham-KHwar mere
teri ulfat ne phunka jaan-o-dil ko
shitabi le KHabar ai yar mere
main aajiz na-tawan miskin gada hun
shah-e-hind-ul-wali sarkar mere
karo nazar-e-ata ai shah-e-ali
suno dil ke kabhi izhaar mere
tere kya ishq ne aafat machai
janab-e-sayyad-e-abrar mere
tamami dil ka ho maqsud hasil
ayan hon dil mein sab asrar mere
sada hai ishq 'miran' shah ke dil mein
ho qismat mein tera darbar mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.