dikha raha hai anguTha falak se tara mujhe
dikhā rahā hai añgūThā falak se taarā mujhe
dhakel de na bulandī se phir dobārā mujhe
mire sivā bhī koī qaid hai ḳharābe meñ
ajiib taur se vo rāt-bhar pukārā mujhe
mire ḳhilāf khaḌā ho gayā hai kaun āḳhir
jo ruup dhaar ke merā hī tiir maarā mujhe
kiyā jab us ne tah-e-āb merī kashtī ko
samajh meñ baat nahīñ aa.ī kyoñ ubhārā mujhe
abhī sameT rahā huuñ maiñ dhajjiyāñ apnī
na jaao chhoḌ ke aise meñ be-sahārā mujhe
dikha raha hai anguTha falak se tara mujhe
dhakel de na bulandi se phir dobara mujhe
mere siwa bhi koi qaid hai KHarabe mein
ajib taur se wo raat-bhar pukara mujhe
mere KHilaf khaDa ho gaya hai kaun aaKHir
jo rup dhaar ke mera hi tir mara mujhe
kiya jab us ne tah-e-ab meri kashti ko
samajh mein baat nahin aai kyon ubhaara mujhe
abhi sameT raha hun main dhajjiyan apni
na jao chhoD ke aise mein be-sahaara mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.