dikha raha hun tamasha samajh mein aa jae
dikhā rahā huuñ tamāsha samajh meñ aa jaa.e
ki ek baar use duniyā samajh meñ aa jaa.e
ye log jā to rahe haiñ na.e zamāne meñ
duā karo inheñ rasta samajh meñ aa jaa.e
ġhalat na jaan ki āñkheñ nahīñ rahīñ merī
so chhū rahā huuñ ki chehra samajh meñ aa jaa.e
ḳhudā kare tujhe tahzīb-e-mai-kashī ho nasīb
ḳhudā kare tujhe nashsha samajh meñ aa jaa.e
ye log jang kī bāteñ nahīñ kareñge agar
galī meñ kheltā bachcha samajh meñ aa jaa.e
ham us ko apnā samajhte haiñ apnā mānte haiñ
jise hamārā ilāqa samajh meñ aa jaa.e
'nadīm' dūsrā un ko dikhā.ī detā nahīñ
'nadīm' jin ko bhī pahlā samajh meñ aa jaa.e
dikha raha hun tamasha samajh mein aa jae
ki ek bar use duniya samajh mein aa jae
ye log ja to rahe hain nae zamane mein
dua karo inhen rasta samajh mein aa jae
ghalat na jaan ki aankhen nahin rahin meri
so chhu raha hun ki chehra samajh mein aa jae
KHuda kare tujhe tahzib-e-mai-kashi ho nasib
KHuda kare tujhe nashsha samajh mein aa jae
ye log jang ki baaten nahin karenge agar
gali mein khelta bachcha samajh mein aa jae
hum us ko apna samajhte hain apna mante hain
jise hamara ilaqa samajh mein aa jae
'nadim' dusra un ko dikhai deta nahin
'nadim' jin ko bhi pahla samajh mein aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.