dikhai de na kabhi ye to mumkinat mein hai
dikhā.ī de na kabhī ye to mumkināt meñ hai
vo sab vujūd meñ hai jo tasavvurāt meñ hai
maiñ jis hunar se huuñ poshīda apnī ġhazloñ meñ
usī tarah vo chhupā saarī kā.enāt meñ hai
ki jaise jism kī rag rag meñ dauḌtā hai lahū
isī tarah vo ravāñ arsa-e-hayāt meñ hai
ki jaise sang ke siine meñ koī but hai nihāñ
usī tarah koī sūrat taḳhayyulāt meñ hai
ki jaise vaqt guzarne kā kuchh na ho ehsās
usī tarah vo sharīk-e-safar hayāt meñ hai
ki jaise bū-e-vafā ḳhud-supurdagī meñ mile
usī tarah kī mahak us kī iltifāt meñ hai
ki jaise jhuuT ka.ī jhuuT ke sahāre le
usī tarah vo pareshāñ takallufāt meñ hai
gunāh bhī koī jaise kare Dare bhī bahut
usī tarah kī jhijhak us kī baat baat meñ hai
bas ab to 'ishq hai hijr-o-visāl kuchh bhī nahīñ
ye TukḌā ziist kā din meñ hai aur na raat meñ hai
nazar ke zāviye badle hai aur kuchh bhī nahīñ
vahī hai kā'be meñ jo 'nūr' somnāth meñ hai
dikhai de na kabhi ye to mumkinat mein hai
wo sab wujud mein hai jo tasawwuraat mein hai
main jis hunar se hun poshida apni ghazlon mein
usi tarah wo chhupa sari kaenat mein hai
ki jaise jism ki rag rag mein dauDta hai lahu
isi tarah wo rawan arsa-e-hayat mein hai
ki jaise sang ke sine mein koi but hai nihan
usi tarah koi surat taKHayyulat mein hai
ki jaise waqt guzarne ka kuchh na ho ehsas
usi tarah wo sharik-e-safar hayat mein hai
ki jaise bu-e-wafa KHud-supurdagi mein mile
usi tarah ki mahak us ki iltifat mein hai
ki jaise jhuT kai jhuT ke sahaare le
usi tarah wo pareshan takallufat mein hai
gunah bhi koi jaise kare Dare bhi bahut
usi tarah ki jhijhak us ki baat baat mein hai
bas ab to 'ishq hai hijr-o-visal kuchh bhi nahin
ye TukDa zist ka din mein hai aur na raat mein hai
nazar ke zawiye badle hai aur kuchh bhi nahin
wahi hai ka'be mein jo 'nur' somnath mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.