dikhai denge jo gul mez par qarine se
dikhā.ī deñge jo gul mez par qarīne se
havā.eñ chheḌeñgī aa kar khule darīche se
ḳhalā meñ aaj sakūñ apnā DhūñDhtā hai vahī
bahal gayā thā jo bachcha kabhī khilaune se
tumhāre dil meñ hai ik karb sā kisī ke liye
ye baat ham ne paḌhī hai tumhāre chehre se
jale jo dil to yaqīnan laboñ pe hogī karāh
dhuāñ to phailegā jangal meñ aag lagne se
fazā meñ sūrat-e-shāhīñ buland ho kar dekh
dikhā.ī deñge ye ūñche daraḳht chhoTe se
sunā.ī dī hai kahīñ kyā ḳhizāñ ke pānoñ kī chaap
ki phuul aaj haiñ gulshan meñ sahme sahme se
chalo ki pūchheñ kisī soḳhta-jigar se ye baat
gurez hotā hai kab aadmī ko jiine se
vafā na TūTne vaalī hai ek shai 'shāriq'
karo vafā ko na tā'bīr kachche dhāge se
dikhai denge jo gul mez par qarine se
hawaen chheDengi aa kar khule dariche se
KHala mein aaj sakun apna DhunDhta hai wahi
bahal gaya tha jo bachcha kabhi khilaune se
tumhaare dil mein hai ek karb sa kisi ke liye
ye baat hum ne paDhi hai tumhaare chehre se
jale jo dil to yaqinan labon pe hogi karah
dhuan to phailega jangal mein aag lagne se
faza mein surat-e-shahin buland ho kar dekh
dikhai denge ye unche daraKHt chhoTe se
sunai di hai kahin kya KHizan ke panon ki chap
ki phul aaj hain gulshan mein sahme sahme se
chalo ki puchhen kisi soKHta-jigar se ye baat
gurez hota hai kab aadmi ko jine se
wafa na TuTne wali hai ek shai 'shaariq'
karo wafa ko na ta'bir kachche dhage se
- Book : عکس بر عکس (Pg. 26)
- Author : شارق جمال
- Publication : شاہد پریس ناگپور (1986)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.