dikhai dete hain dhund mein jaise sae koi
dikhā.ī dete haiñ dhuñd meñ jaise saa.e koī
magar bulāne se vaqt lauTe na aa.e koī
mire mohalle kā āsmāñ suunā ho gayā hai
bulandiyoñ pe ab aa ke peche laḌā.e koī
vo zard patte jo peḌ se TuuT kar gire the
kahāñ ga.e bahte pāniyoñ meñ bulā.e koī
za.iif bargad ke haath meñ ra.asha aa gayā hai
jaTā.eñ āñkhoñ pe gir rahī haiñ uThā.e koī
mazār pe khol kar garebāñ duā.eñ māñgeñ
jo aa.e ab ke to lauT kar phir na jaa.e koī
dikhai dete hain dhund mein jaise sae koi
magar bulane se waqt lauTe na aae koi
mere mohalle ka aasman suna ho gaya hai
bulandiyon pe ab aa ke peche laDae koi
wo zard patte jo peD se TuT kar gire the
kahan gae bahte paniyon mein bulae koi
zaif bargad ke hath mein rasha aa gaya hai
jaTaen aankhon pe gir rahi hain uThae koi
mazar pe khol kar gareban duaen mangen
jo aae ab ke to lauT kar phir na jae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.