dikhla na Khaal-e-naf tu ai gul-badan mujhe
dikhlā na ḳhāl-e-nāf tū ai gul-badan mujhe
har laala yaañ hai nāfa-e-mushk-e-ḳhutan mujhe
hamdam vabāl-e-dosh na kar pairahan mujhe
kāñTā sā hai khaTaktā mirā tan badan mujhe
phirtā liye chaman meñ hai dīvāna-pan mujhe
zanjīr-e-pā hai mauj-e-nasīm-e-chaman mujhe
tasbīh-e-daur-e-bazm meñ dekho imaam ko
baḳhshī hai haq ne zeb-e-sar-e-anjuman mujhe
ai mere yāsman tire dandān-e-ābdār
gulshan meñ haiñ rulāte gul-e-yāsman mujhe
mehrāb-e-kāba jab se hai terā ḳham-e-kamāñ
said-e-haram samajhte haiñ nāvak-fagan mujhe
hai tan meñ rīsha-hā-e-na.e ḳhushk ustuḳhvāñ
kyuuñ khīñchtā hai kāñToñ meñ ai zof-e-tan mujhe
ai lab misī ko pheñk ki nīlam hai kam-bahā
yāqūt de yā de koī lāl-e-yaman mujhe
huuñ sham.a yā ki shola ḳhabar kuchh nahīñ magar
fānūs ho rahā hai mirā pairahan mujhe
ik sarzamīn-e-lāla bahār o ḳhizāñ meñ huuñ
yaksāñ hai dāġh-e-tāza o dāġh-e-kuhan mujhe
ḳhusrav se tesha bolā jo chāTūñ na terā ḳhuuñ
shīrīñ na hove ḳhūn-e-sar-e-koh-kan mujhe
ruḳh par tumhāre daam jo Daalā hai sabze ne
aatā nazar hai dīda-e-anqā-dahan mujhe
ye dil vo hai ki kar de zamīñ āsmāñ ko ḳhaak
ik dam ko barq de jo pinhā pairahan mujhe
kūche meñ tere kaun thā letā bhalā ḳhabar
shab chāndnī ne aa ke pahnāyā kafan mujhe
dikhlātā āsmāñ se hai rū-e-zamīñ kī sair
ai rashk-e-māh terī jabīñ kā shikan mujhe
rakhtā hai chashm-e-lutf pe kis kis adā ke saath
detā hai jaam sāqi-e-paimāñ-shikan mujhe
hai jazb-e-dil durust to chāh-e-firāq se
khīñchegī terī zulf shikan-dar-shikan mujhe
dikhlātā ik adā meñ hai sau sau tarah banāo
is sāda-pan ke saath tirā bāñkpan mujhe
jaise kueñ meñ ho koī taarā chamak rahā
dil sūjhtā hai yuuñ tah-e-chāh-e-zaqan mujhe
aa kar use bhī do kabhī āñkheñ zarā dikhā
āñkheñ dikhā rahā hai ġhazāl-e-ḳhutan mujhe
aa ai mire chaman ki huā meñ tirī havā
sahrā-e-dil huā hai chaman-dar-chaman mujhe
yā rab ye dil hai yā ki hai ā.īna-e-nazar
dikhlā rahā hai sair o safar dar vatan mujhe
aayā huuñ nuur le ke maiñ bazm-e-suḳhan meñ 'zauq'
āñkhoñ pe sab biThā.eñge ahl-e-suḳhan mujhe
dikhla na KHal-e-naf tu ai gul-badan mujhe
har lala yan hai nafa-e-mushk-e-KHutan mujhe
hamdam wabaal-e-dosh na kar pairahan mujhe
kanTa sa hai khaTakta mera tan badan mujhe
phirta liye chaman mein hai diwana-pan mujhe
zanjir-e-pa hai mauj-e-nasim-e-chaman mujhe
tasbih-e-daur-e-bazm mein dekho imam ko
baKHshi hai haq ne zeb-e-sar-e-anjuman mujhe
ai mere yasman tere dandan-e-abdar
gulshan mein hain rulate gul-e-yasman mujhe
mehrab-e-kaba jab se hai tera KHam-e-kaman
said-e-haram samajhte hain nawak-fagan mujhe
hai tan mein risha-ha-e-nae KHushk ustuKHwan
kyun khinchta hai kanTon mein ai zof-e-tan mujhe
ai lab misi ko phenk ki nilam hai kam-baha
yaqut de ya de koi lal-e-yaman mujhe
hun shama ya ki shola KHabar kuchh nahin magar
fanus ho raha hai mera pairahan mujhe
ek sarzamin-e-lala bahaar o KHizan mein hun
yaksan hai dagh-e-taza o dagh-e-kuhan mujhe
KHusraw se tesha bola jo chaTun na tera KHun
shirin na howe KHun-e-sar-e-koh-kan mujhe
ruKH par tumhaare dam jo Dala hai sabze ne
aata nazar hai dida-e-anqa-dahan mujhe
ye dil wo hai ki kar de zamin aasman ko KHak
ek dam ko barq de jo pinha pairahan mujhe
kuche mein tere kaun tha leta bhala KHabar
shab chandni ne aa ke pahnaya kafan mujhe
dikhlata aasman se hai ru-e-zamin ki sair
ai rashk-e-mah teri jabin ka shikan mujhe
rakhta hai chashm-e-lutf pe kis kis ada ke sath
deta hai jam saqi-e-paiman-shikan mujhe
hai jazb-e-dil durust to chah-e-firaq se
khinchegi teri zulf shikan-dar-shikan mujhe
dikhlata ek ada mein hai sau sau tarah banao
is sada-pan ke sath tera bankpan mujhe
jaise kuen mein ho koi tara chamak raha
dil sujhta hai yun tah-e-chah-e-zaqan mujhe
aa kar use bhi do kabhi aankhen zara dikha
aankhen dikha raha hai ghazal-e-KHutan mujhe
aa ai mere chaman ki hua mein teri hawa
sahra-e-dil hua hai chaman-dar-chaman mujhe
ya rab ye dil hai ya ki hai aaina-e-nazar
dikhla raha hai sair o safar dar watan mujhe
aaya hun nur le ke main bazm-e-suKHan mein 'zauq'
aankhon pe sab biThaenge ahl-e-suKHan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.