dikhlaya raqiban ne naya koi hunar phir
dikhlāyā raqīban ne nayā koī hunar phir
badlī sī nazar aatī hai kuchh un kī nazar phir
martā hai jo har roz magar mar nahīñ chuktā
kal raat ko ghar aa gayā vo sho.abda-gar phir
ab jūtiyoñ se aisī ḳhabar luuñ ki rakhe yaad
dekhe to muā merī taraf bhar ke nazar phir
ik saal kī guDDī abhī hone bhī na paa.ī
lo ho gayā bhābī ke yahāñ nūr-e-nazar phir
ummīd se suntī huuñ paḌosan kī hai naanī
lo sūkhe hue naḳhl meñ aayā hai samar phir
kal raat ko jab sone ga.iiñ achchhī bhalī thiiñ
lo sub.h se dukhne lagī bhābī kī kamar phir
dikhlaya raqiban ne naya koi hunar phir
badli si nazar aati hai kuchh un ki nazar phir
marta hai jo har roz magar mar nahin chukta
kal raat ko ghar aa gaya wo shoabda-gar phir
ab jutiyon se aisi KHabar lun ki rakhe yaad
dekhe to mua meri taraf bhar ke nazar phir
ek sal ki guDDi abhi hone bhi na pai
lo ho gaya bhabi ke yahan nur-e-nazar phir
ummid se sunti hun paDosan ki hai nani
lo sukhe hue naKHl mein aaya hai samar phir
kal raat ko jab sone gain achchhi bhali thin
lo subh se dukhne lagi bhabi ki kamar phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.