dil abr hai aisa kabhi rota nahin
dil abr hai aisā kabhī rotā nahīñ
phir bhī ḳhafā kyuuñ aa.inā hotā nahīñ
ham chhoḌ aa.e the tasallī ke liye
ye dard-e-dil kyuuñ bhiiḌ meñ khotā nahīñ
phir ḳhvāb na TuuTe vo pichhlī raat sā
is ḳhauf meñ aksar ye dil sotā nahīñ
ab bārisheñ bhī chāhatoñ kī thak ga.ī
dil kī zamīñ par ishq vo botā nahīñ
dil abr hai aisa kabhi rota nahin
phir bhi KHafa kyun aaina hota nahin
hum chhoD aae the tasalli ke liye
ye dard-e-dil kyun bhiD mein khota nahin
phir KHwab na TuTe wo pichhli raat sa
is KHauf mein aksar ye dil sota nahin
ab barishen bhi chahaton ki thak gai
dil ki zamin par ishq wo bota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.