dil agar shaista-e-dard-e-nihan paida karen
dil agar shā.ista-e-dard-e-nihāñ paidā kareñ
har ġham-e-jāñ-kāh se ārām-e-jāñ paidā kareñ
kufr-o-dīñ meñ ittihād-e-jāvedāñ paidā kareñ
nālā-e-nāqūs se bāñg-e-azāñ paidā kareñ
imtiyāz-e-īn-o-āñ se īn-o-āñ donoñ tabāh
ab na hargiz imtiyāz-e-īn-o-āñ paidā kareñ
ek ham haiñ apne gulshan ko jo sahrā kar chuke
ek vo haiñ dasht meñ jo gulsitāñ paidā kareñ
ādamiyyat ko na chhoḌeñ ham ġhanīmat hai yahī
kaun kahtā hai sifāt-e-qudsiyāñ paidā kareñ
jo muhibbān-e-vatan shān-e-vatan par mar miTe
ḳhaak se un kī nayā hindostāñ paidā kareñ
duur duniyā se kahīñ ai tab-e-mazmūñ-āfrīñ
ik ḳhayālī ālam-e-amn-o-amāñ paidā kareñ
nukta-chīnī se na baaz ā.eñge hargiz nukta-chīñ
laakh ai 'mahrūm' ham husn-e-bayāñ paidā kareñ
dil agar shaista-e-dard-e-nihan paida karen
har gham-e-jaan-kah se aaram-e-jaan paida karen
kufr-o-din mein ittihad-e-jawedan paida karen
nala-e-naqus se bang-e-azan paida karen
imtiyaz-e-in-o-an se in-o-an donon tabah
ab na hargiz imtiyaz-e-in-o-an paida karen
ek hum hain apne gulshan ko jo sahra kar chuke
ek wo hain dasht mein jo gulsitan paida karen
aadamiyyat ko na chhoDen hum ghanimat hai yahi
kaun kahta hai sifat-e-qudsiyan paida karen
jo muhibban-e-watan shan-e-watan par mar miTe
KHak se un ki naya hindostan paida karen
dur duniya se kahin ai tab-e-mazmun-afrin
ek KHayali aalam-e-amn-o-aman paida karen
nukta-chini se na baz aaenge hargiz nukta-chin
lakh ai 'mahrum' hum husn-e-bayan paida karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.