dil ajab jalwa-e-ummid dikhata hai mujhe
Interesting Fact
1922
dil ajab jalva-e-ummīd dikhātā hai mujhe
shaam se 'yās' saverā nazar aatā hai mujhe
jalva-e-dār-o-rasan apne nasīboñ meñ kahāñ
kaun duniyā kī nigāhoñ pe chaḌhātā hai mujhe
dil ko lahrātā hai hañgāma-e-znidān-e-balā
shor-e-īzā-talabī vajd meñ laatā hai mujhe
pā-e-āzād hai zindāñ ke chalan se bāhar
beḌiyāñ kyuuñ koī dīvāna pahnātā hai mujhe
hañs ke kahtā hai ki ghar apnā qafas ko samjho
sabaq ulTā mirā sayyād paḌhātā hai mujhe
jaise dozaḳh kī havā khā ke abhī aayā hai
kis qadar vā.iz-e-makkār Darātā hai mujhe
phaT paḌeñ ab hī dar-o-bām to parda rah jaa.e
falak-e-ḳhāna-ḳharāb aañkh dikhātā hai mujhe
dīdanī hai chaman-ārā.ī-e-chashm-e-ibrat
sair-e-tāza gul-e-pazhmurda dikhātā hai mujhe
tark-e-matlab se hai matlab to duā.eñ kaisī
sub.h tak kyuuñ dil-e-bīmār jagātā hai mujhe
nañg-e-mahfil mirā zinda mirā murda bhārī
kaun uThātā hai mujhe kaun biThātā hai mujhe
lab-e-dariyā kā huā maiñ na tah-e-dariyā kā
kaun se ghaaT ye dhārā liye jaatā hai mujhe
paañv so.e haiñ magar jāgte haiñ apne nasīb
kyā samajh kar jaras-e-guñg jagātā hai mujhe
'yās' manzil hai mirī manzil-e-anqā-e-kamāl
lucknow meñ koī kyuuñ DhūñDne aatā hai mujhe
dil ajab jalwa-e-ummid dikhata hai mujhe
sham se 'yas' sawera nazar aata hai mujhe
jalwa-e-dar-o-rasan apne nasibon mein kahan
kaun duniya ki nigahon pe chaDhata hai mujhe
dil ko lahraata hai hangama-e-znidan-e-bala
shor-e-iza-talabi wajd mein lata hai mujhe
pa-e-azad hai zindan ke chalan se bahar
beDiyan kyun koi diwana pahnata hai mujhe
hans ke kahta hai ki ghar apna qafas ko samjho
sabaq ulTa mera sayyaad paDhata hai mujhe
jaise dozaKH ki hawa kha ke abhi aaya hai
kis qadar waiz-e-makkar Daraata hai mujhe
phaT paDen ab hi dar-o-baam to parda rah jae
falak-e-KHana-KHarab aankh dikhata hai mujhe
didani hai chaman-arai-e-chashm-e-ibrat
sair-e-taza gul-e-pazhmurda dikhata hai mujhe
tark-e-matlab se hai matlab to duaen kaisi
subh tak kyun dil-e-bimar jagata hai mujhe
nang-e-mahfil mera zinda mera murda bhaari
kaun uThata hai mujhe kaun biThata hai mujhe
lab-e-dariya ka hua main na tah-e-dariya ka
kaun se ghaT ye dhaara liye jata hai mujhe
panw soe hain magar jagte hain apne nasib
kya samajh kar jaras-e-gung jagata hai mujhe
'yas' manzil hai meri manzil-e-anqa-e-kamal
lucknow mein koi kyun DhunDne aata hai mujhe
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 313)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.