dil akela hai bahut lala-e-sahra ki tarah
dil akelā hai bahut lāla-e-sahrā kī tarah
tum ne bhī chhoḌ diyā hai mujhe duniyā kī tarah
yuuñ judā mujh se na ho ahd-e-guzishta kī tarah
dil ke nazdīk raho va.ada-e-fardā kī tarah
tum havā ho to bikhero mujhe sāhil-sāhil
mauj se ho to bahā do mujhe dariyā kī tarah
paas rahte ho to aatā hai judā.ī kā ḳhayāl
tum mire dil meñ ho andesha-e-fardā kī tarah
biich meñ kuchh to rah-e-rasm-e-takalluf rakkho
ajnabī yuuñ nahīñ milte haiñ shanāsā kī tarah
dil akela hai bahut lala-e-sahra ki tarah
tum ne bhi chhoD diya hai mujhe duniya ki tarah
yun juda mujh se na ho ahd-e-guzishta ki tarah
dil ke nazdik raho wada-e-farda ki tarah
tum hawa ho to bikhero mujhe sahil-sahil
mauj se ho to baha do mujhe dariya ki tarah
pas rahte ho to aata hai judai ka KHayal
tum mere dil mein ho andesha-e-farda ki tarah
bich mein kuchh to rah-e-rasm-e-takalluf rakkho
ajnabi yun nahin milte hain shanasa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.