dil akela hai be-qarari hai
dil akelā hai be-qarārī hai
aur udhar kā.enāt saarī hai
lāla-o-gul ye chāñd ye taare
ek ek shai yahāñ tumhārī hai
tum ne kaisī nazar se dekh liyā
aaj tak dil pe kaif taarī hai
jo kabhī sub.h tak pahuñch na sakī
ham ne aisī bhī shab guzārī hai
phuul bhī haiñ chaman meñ kāñTe bhī
apnī har chiiz ham ko pyārī hai
ye to gul kī hañsī batā.egī
kis ne ro ro ke shab guzārī hai
haa.e majbūrī-e-mohabbat 'nūr'
ziist kyā ek shab guzārī hai
dil akela hai be-qarari hai
aur udhar kaenat sari hai
lala-o-gul ye chand ye tare
ek ek shai yahan tumhaari hai
tum ne kaisi nazar se dekh liya
aaj tak dil pe kaif tari hai
jo kabhi subh tak pahunch na saki
hum ne aisi bhi shab guzari hai
phul bhi hain chaman mein kanTe bhi
apni har chiz hum ko pyari hai
ye to gul ki hansi bataegi
kis ne ro ro ke shab guzari hai
hae majburi-e-mohabbat 'nur'
zist kya ek shab guzari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.