dil apna jalaya hai kisi ne bhi KHushi se
dil apnā jalāyā hai kisī ne bhī ḳhushī se
ban jaatī hai jī par to guzar jaate haiñ jī se
jhūToñ kabhī pūchhā hai to vahm aa.e haiñ kyā kyā
mānūs haiñ itne tirī begāna-ravī se
rasta jise mil jaa.e ye taufīq hai us kī
palTā nahīñ ab tak hai koī terī galī se
ḳhushbū ne bahārāñ kī sunī chaap kisī ne
māyūs na honā mirī āhista-ravī se
ban ban ke bigaḌte rahe ummīd ke paikar
aazar the magar kaam rahā but-shikanī se
andesha bas itnā hī rahā dasht-e-talab meñ
bhar aa.e kahīñ aañkh 'adā' tishna-labī se
dil apna jalaya hai kisi ne bhi KHushi se
ban jati hai ji par to guzar jate hain ji se
jhuTon kabhi puchha hai to wahm aae hain kya kya
manus hain itne teri begana-rawi se
rasta jise mil jae ye taufiq hai us ki
palTa nahin ab tak hai koi teri gali se
KHushbu ne bahaaran ki suni chap kisi ne
mayus na hona meri aahista-rawi se
ban ban ke bigaDte rahe ummid ke paikar
aazar the magar kaam raha but-shikani se
andesha bas itna hi raha dasht-e-talab mein
bhar aae kahin aankh 'ada' tishna-labi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.