dil apna shab-e-hijr mein raat bhar
dil apnā shab-e-hijr meñ raat bhar
laTaktā rahā dard ke daar par
chhuTī terī chaukhaT chhuTā apnā ghar
mohabbat meñ yuuñ ho ga.e dar-ba-dar
kabhī ho hī jā.eñge ġham se rihā
kabhī mil hī jā.egī apnī ḳhabar
taġhāful se baḌhtī haiñ rusvā.iyāñ
zarā ham pe bhī Dāliye ik nazar
huā apne hī haath se apnā ḳhuuñ
huā ishq kā ma.arka ḳhuub sar
mohabbat meñ 'shāhid' ko raas aas kā
na gulshan na sahrā na masjid na ghar
dil apna shab-e-hijr mein raat bhar
laTakta raha dard ke dar par
chhuTi teri chaukhaT chhuTa apna ghar
mohabbat mein yun ho gae dar-ba-dar
kabhi ho hi jaenge gham se riha
kabhi mil hi jaegi apni KHabar
taghaful se baDhti hain ruswaiyan
zara hum pe bhi Daliye ek nazar
hua apne hi hath se apna KHun
hua ishq ka marka KHub sar
mohabbat mein 'shahid' ko ras aas ka
na gulshan na sahra na masjid na ghar
- Book : پیاس نگر میں پہلی بارش (Pg. 20)
- Author : لطیف شاہ شاہد
- Publication : انجمن ادبیات سرحد(رجسٹرڈ) اکوڑہ خٹک (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.