dil aur tarah aaj to ghabraya hua hai
dil aur tarah aaj to ghabrāyā huā hai
ai be-ḳhabarī chauñk koī aayā huā hai
sulge hue bose ye havā ke haiñ fanā ke
dil ḳhauf se har phuul kā tharrāyā huā hai
tā-ki na nigāhoñ ko andhere nazar aa.eñ
ā.īna ujāloñ ne ye chamkāyā huā hai
ai raat na fāḳhir ho sitāroñ kī chamak par
vo chāñd bhī terā hai jo gahnāyā huā hai
dil aur tarah aaj to ghabraya hua hai
ai be-KHabari chaunk koi aaya hua hai
sulge hue bose ye hawa ke hain fana ke
dil KHauf se har phul ka tharraya hua hai
ta-ki na nigahon ko andhere nazar aaen
aaina ujalon ne ye chamkaya hua hai
ai raat na faKHir ho sitaron ki chamak par
wo chand bhi tera hai jo gahnaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.