dil badalte nahin lainon ke
dil badalte nahīñ la.īnoñ ke
qisse sab ek haiñ zamīnoñ ke
mauj-e-dariyā pukārtī bhī kise
gum haiñ nām-o-nishāñ safīnoñ ke
ham hī the yādgār shorafā ke
ban ga.e ham hadaf kamīnoñ ke
sarsarāte haiñ zehn meñ ab ke
kyā hue ḳhauf āstīnoñ ke
ab khañDar bolne lage haiñ 'nasīm'
koī vāris nahīñ makīnoñ ke
dil badalte nahin lainon ke
qisse sab ek hain zaminon ke
mauj-e-dariya pukarti bhi kise
gum hain nam-o-nishan safinon ke
hum hi the yaadgar shorafa ke
ban gae hum hadaf kaminon ke
sarsaraate hain zehn mein ab ke
kya hue KHauf aastinon ke
ab khanDar bolne lage hain 'nasim'
koi waris nahin makinon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.