dil badan ka sharik-e-haal kahan
dil badan kā sharīk-e-hāl kahāñ
hijr phir hijr hai visāl kahāñ
ishq hai naam intihāoñ kā
is samundar meñ e'tidāl kahāñ
aisā nashsha to zahr meñ bhī na thā
ai ġham-e-dil tirī misāl kahāñ
ham ko bhī apnī pā.emālī kā
hai magar is qadar malāl kahāñ
maiñ na.ī dostī ke moḌ pe thā
aa gayā hai tirā ḳhayāl kahāñ
dil ki ḳhush-fahm thā so hai varna
tere milne kā ehtimāl kahāñ
vasl o hijrāñ haiñ aur duniyā.eñ
in zamānoñ meñ māh-o-sāl kahāñ
tujh ko dekhā to log hairāñ haiñ
aa gayā shahr meñ ġhazāl kahāñ
tujh pe likkhī to saj ga.ī hai ġhazal
aa milā ḳhvāb se ḳhayāl kahāñ
ab to shah maat ho rahī hai 'farāz'
ab bachāv kī koī chaal kahāñ
dil badan ka sharik-e-haal kahan
hijr phir hijr hai visal kahan
ishq hai nam intihaon ka
is samundar mein e'tidal kahan
aisa nashsha to zahr mein bhi na tha
ai gham-e-dil teri misal kahan
hum ko bhi apni paemali ka
hai magar is qadar malal kahan
main nai dosti ke moD pe tha
aa gaya hai tera KHayal kahan
dil ki KHush-fahm tha so hai warna
tere milne ka ehtimal kahan
wasl o hijran hain aur duniyaen
in zamanon mein mah-o-sal kahan
tujh ko dekha to log hairan hain
aa gaya shahr mein ghazal kahan
tujh pe likkhi to saj gai hai ghazal
aa mila KHwab se KHayal kahan
ab to shah mat ho rahi hai 'faraaz'
ab bachaw ki koi chaal kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.