dil bahak jata hai barsat ke sath
dil bahak jaatā hai barsāt ke saath
ham bigaḌ jaate haiñ hālāt ke saath
vo muqaddas hai sahīfe kī tarah
hifz ho jaatā hai āyāt ke saath
kitne raushan haiñ dar-o-bām-e-ḳhayāl
ham chamakne lage zarrāt ke saath
dasht-e-jāñ aur tire dard kī lau
kaun guzrā hai mirī raat ke saath
ye ġhanīmat hai ki ham zinda haiñ
log mar jaate haiñ ādāt ke saath
koī tadbīr falak kī na chalī
ham javāñ ho ga.e āfāt ke saath
maslahat sach nahīñ kahne detī
log bikte haiñ karāmāt ke saath
ek raġhbat hai mai-e-nāb se 'qais'
ik ta.alluq hai ḳharābāt ke saath
dil bahak jata hai barsat ke sath
hum bigaD jate hain haalat ke sath
wo muqaddas hai sahife ki tarah
hifz ho jata hai aayat ke sath
kitne raushan hain dar-o-baam-e-KHayal
hum chamakne lage zarraat ke sath
dasht-e-jaan aur tere dard ki lau
kaun guzra hai meri raat ke sath
ye ghanimat hai ki hum zinda hain
log mar jate hain aadat ke sath
koi tadbir falak ki na chali
hum jawan ho gae aafat ke sath
maslahat sach nahin kahne deti
log bikte hain karamat ke sath
ek raghbat hai mai-e-nab se 'qais'
ek talluq hai KHarabaat ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.