Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil be-niyaz-e-kawish-e-dauran hai aaj kal

Raza Muradabadi

dil be-niyaz-e-kawish-e-dauran hai aaj kal

Raza Muradabadi

MORE BYRaza Muradabadi

    dil be-niyāz-e-kāvish-e-daurāñ hai aaj kal

    dil se sivā vo dil nigahbāñ hai aaj kal

    mere nafas nafas pe ye ehsāñ hai aaj kal

    us taraf se pursish-e-pinhāñ hai aaj kal

    rag rag meñ jaise koī ḳhirāmāñ hai aaj kal

    dard-e-firāq sar-ba-garebāñ hai aaj kal

    ik ik nazar hai dāvat-e-nazzāra-e-jamāl

    manzar har ek sūrat-e-jānāñ hai aaj kal

    ye mo.ajizāt-e-jazb-e-mohabbat to dekhnā

    shām-e-firāq sub.h-e-daraḳhshāñ hai aaj kal

    barpā hai chashm-e-nāz meñ ik hashr-e-iltifāt

    sach-much jafā pe koī pashemāñ hai aaj kal

    dil mutma.in hai 'rāz' to aalam hasīn hai

    sahrā harīf-e-rang-e-gulistāñ hai aaj kal

    dil be-niyaz-e-kawish-e-dauran hai aaj kal

    dil se siwa wo dil ka nigahban hai aaj kal

    mere nafas nafas pe ye ehsan hai aaj kal

    us ki taraf se pursish-e-pinhan hai aaj kal

    rag rag mein jaise koi KHiraman hai aaj kal

    dard-e-firaq sar-ba-gareban hai aaj kal

    ek ek nazar hai dawat-e-nazzara-e-jamal

    manzar har ek surat-e-jaanan hai aaj kal

    ye moajizat-e-jazb-e-mohabbat to dekhna

    sham-e-firaq subh-e-daraKHshan hai aaj kal

    barpa hai chashm-e-naz mein ek hashr-e-iltifat

    sach-much jafa pe koi pasheman hai aaj kal

    dil mutmain hai 'raaz' to aalam hasin hai

    sahra harif-e-rang-e-gulistan hai aaj kal

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now