dil bebas hai jab chaho tum qaid karo aazad karo
dil bebas hai jab chaho tum qaid karo aazad karo
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
dil bebas hai jab chāho tum qaid karo āzād karo
sab kuchh tum par chhoḌ diyā hai rakkho yā barbād karo
aap ke gul haiñ aap kā gulshan aap yahāñ majbūr nahīñ
kaliyoñ kī āñkhoñ meñ jhāñko phūloñ ke dil shaad karo
sab kahte haiñ aap hamāre maiḳhāne ke saaqī haiñ
tishna-laboñ ke haq meñ baḌh kar ab to kuchh irshād karo
mausam badlā kaliyāñ mil kar giit milan ke gaatī haiñ
ab to qaid-e-tanhā.ī se dil ko mire āzād karo
hijr ke shikve tanhā.ī ke ḳhauf kī bāteñ rahne do
jo din mil kar saath guzāre haiñ vo bhī to yaad karo
yā duniyā meñ ghul-mil jaao yā duniyā se duur raho
TūTe-phūTe dil se naġhme chheḌo aur fariyād karo
sab kahte haiñ aap ke dar se faiz kā chashma jaarī hai
maiñ bhī to dil haar chukā huuñ merī bhī imdād karo
'zaidī' kaliyoñ kī bebākī se ab kyoñ ghabrāte ho
kitne shoḳh aur chanchal the tum apne din bhī yaad karo
dil bebas hai jab chaho tum qaid karo aazad karo
sab kuchh tum par chhoD diya hai rakkho ya barbaad karo
aap ke gul hain aap ka gulshan aap yahan majbur nahin
kaliyon ki aankhon mein jhanko phulon ke dil shad karo
sab kahte hain aap hamare maiKHane ke saqi hain
tishna-labon ke haq mein baDh kar ab to kuchh irshad karo
mausam badla kaliyan mil kar git milan ke gati hain
ab to qaid-e-tanhai se dil ko mere aazad karo
hijr ke shikwe tanhai ke KHauf ki baaten rahne do
jo din mil kar sath guzare hain wo bhi to yaad karo
ya duniya mein ghul-mil jao ya duniya se dur raho
TuTe-phuTe dil se naghme chheDo aur fariyaad karo
sab kahte hain aap ke dar se faiz ka chashma jari hai
main bhi to dil haar chuka hun meri bhi imdad karo
'zaidi' kaliyon ki bebaki se ab kyon ghabraate ho
kitne shoKH aur chanchal the tum apne din bhi yaad karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.