dil chaha kare manzar-e-shadab mein rahna
dil chaha kare manzar-e-shadab mein rahna
Mohammad Siddiq Naqvi
MORE BYMohammad Siddiq Naqvi
dil chāhā kare manzar-e-shādāb meñ rahnā
ai aañkh sadā chāñd ke hī ḳhvāb meñ rahnā
ḳhush-rang gulāboñ se sajānā sadā mahfil
aur shām-o-sahar jalva-e-mahtāb meñ rahnā
shāyad kabhī dekhā hai tumheñ us meñ nahāte
chāhā hai kañval ne usī tālāb meñ rahnā
ai zindagī ye qahr bhī terā na ho mujh par
har roz thakan kā mire a.asāb meñ rahnā
tum bhī kisī gul-ruḳh pe kabhī jaan luTāte
qismat meñ agar hotā jo punjab meñ rahnā
tum jhiil sī āñkhoñ meñ mujhe apnī basā lo
dushvār huā ālam-e-asbāb meñ rahnā
tū ne mujhe ai zindagī itne diye chakkar
tab aayā mujhe halqa-e-girdāb meñ rahnā
dil chaha kare manzar-e-shadab mein rahna
ai aankh sada chand ke hi KHwab mein rahna
KHush-rang gulabon se sajaana sada mahfil
aur sham-o-sahar jalwa-e-mahtab mein rahna
shayad kabhi dekha hai tumhein us mein nahate
chaha hai kanwal ne usi talab mein rahna
ai zindagi ye qahr bhi tera na ho mujh par
har roz thakan ka mere aasab mein rahna
tum bhi kisi gul-ruKH pe kabhi jaan luTate
qismat mein agar hota jo punjab mein rahna
tum jhil si aankhon mein mujhe apni basa lo
dushwar hua aalam-e-asbab mein rahna
tu ne mujhe ai zindagi itne diye chakkar
tab aaya mujhe halqa-e-girdab mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.