dil chahat se Khaali hai
dil chāhat se ḳhālī hai
ye kaisī ḳhush-hālī hai
pahle kānhā kaale the
ab rādhā bhī kaalī hai
aag nahīñ hai chūlhoñ meñ
kahne ko dīvālī hai
ishq maraz kī ek davā
ham ne aaj nikālī hai
jis ne maslā phūloñ ko
bāġhoñ kā ab maalī hai
ham ne apnī bhī sūrat
us jaisī hī banā lī hai
bikne par haiñ āmāda
qīmat aur girā lī hai
bastī ne nadiyāñ khā liiñ
jamunā jī ab naalī hai
bādal chhañTne vaalā hai
dhuup nikalne vaalī hai
ham ko Dar hai bagūloñ kā
aur havā matvālī hai
dil chahat se KHali hai
ye kaisi KHush-haali hai
pahle kanha kale the
ab radha bhi kali hai
aag nahin hai chulhon mein
kahne ko diwali hai
ishq maraz ki ek dawa
hum ne aaj nikali hai
jis ne masla phulon ko
baghon ka ab mali hai
hum ne apni bhi surat
us jaisi hi bana li hai
bikne par hain aamada
qimat aur gira li hai
basti ne nadiyan kha lin
jamuna ji ab nali hai
baadal chhanTne wala hai
dhup nikalne wali hai
hum ko Dar hai bagulon ka
aur hawa matwali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.