dil dena mushkil hota hai
dil denā mushkil hotā hai
dil kā bhī ik dil hotā hai
ham hote haiñ jab mahfil meñ
tū jān-e-mahfil hotā hai
mauj meñ aa kar sahrā bolā
mujh meñ bhī sāhil hotā hai
jis raste meñ tum mil jaao
vo rasta manzil hotā hai
dekh mujhe sab dekh rahe haiñ
tū hī kyuuñ ġhāfil hotā hai
koī nazar ho yā ḳhanjar ho
qātil to qātil hotā hai
'momin' tere chup hone se
ik aalam saa.il hotā hai
dil dena mushkil hota hai
dil ka bhi ek dil hota hai
hum hote hain jab mahfil mein
tu jaan-e-mahfil hota hai
mauj mein aa kar sahra bola
mujh mein bhi sahil hota hai
jis raste mein tum mil jao
wo rasta manzil hota hai
dekh mujhe sab dekh rahe hain
tu hi kyun ghafil hota hai
koi nazar ho ya KHanjar ho
qatil to qatil hota hai
'momin' tere chup hone se
ek aalam sail hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.