dil dhaDakta sunai deta hai
dil dhaḌaktā sunā.ī detā hai
ek rasta dikhā.ī detā hai
un ko me.arāj-e-ādmī bhī de
jin ko zauq-e-ḳhudā.ī detā hai
maiñ bhī tanhā udaas āvāra
chāñd chhat se duhā.ī detā hai
ishq hai khel ḳhush-gumānī kā
saañp sīḌhī dikhā.ī detā hai
kaun detā hai ḳhvāb āñkhoñ ke
kaun saarī kamā.ī detā hai
dil dhaDakta sunai deta hai
ek rasta dikhai deta hai
un ko mearaj-e-admi bhi de
jin ko zauq-e-KHudai deta hai
main bhi tanha udas aawara
chand chhat se duhai deta hai
ishq hai khel KHush-gumani ka
sanp siDhi dikhai deta hai
kaun deta hai KHwab aankhon ke
kaun sari kamai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.