dil-e-aina-saman para para kar ke dekha jae
dil-e-ā.īna-sāmāñ paara paara kar ke dekhā jaa.e
sitāroñ ko kabhī mahv-e-nazāra kar ke dekhā jaa.e
kabhī tā-der shabnam taḳht-e-gul par bhī nahīñ rahtī
amīr-e-shahr ko itnā ishāra kar ke dekhā jaa.e
chamaktā hai sar-e-mizhgān-e-nam jo TuuT kar dil se
chalo us ashk-e-ḳhūnī ko sitāra kar ke dekhā jaa.e
harī kāñToñ-bharī beleñ mirī sāñsoñ se lipTī haiñ
aziyyat hī sahī kuchh din guzāra kar ke dekhā jaa.e
kahāñ fursat farishtoñ sī ki ham ye dard-e-sar moleñ
hisāb-e-dostāñ ko goshvāra kar ke dekhā jaa.e
hameñ dil jītne kā fan to aatā hai magar sochā
kabhī aisā bhī ho apnā ḳhasāra kar ke dekhā jaa.e
na jaane kitne aalam haiñ 'mujībī' ek aalam meñ
agar duniyā ko duniyā se kināra kar ke dekhā jaa.e
dil-e-aina-saman para para kar ke dekha jae
sitaron ko kabhi mahw-e-nazara kar ke dekha jae
kabhi ta-der shabnam taKHt-e-gul par bhi nahin rahti
amir-e-shahr ko itna ishaara kar ke dekha jae
chamakta hai sar-e-mizhgan-e-nam jo TuT kar dil se
chalo us ashk-e-KHuni ko sitara kar ke dekha jae
hari kanTon-bhari belen meri sanson se lipTi hain
aziyyat hi sahi kuchh din guzara kar ke dekha jae
kahan fursat farishton si ki hum ye dard-e-sar molen
hisab-e-dostan ko goshwara kar ke dekha jae
hamein dil jitne ka fan to aata hai magar socha
kabhi aisa bhi ho apna KHasara kar ke dekha jae
na jaane kitne aalam hain 'mujibi' ek aalam mein
agar duniya ko duniya se kinara kar ke dekha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.