Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki

Josh Malihabadi

dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    dil-e-āzāda-rau meñ vo tamannā thī bayābāñ

    qadam rakhte shaq hone lagī dīvār zindāñ

    ḳhudā rahmateñ ai mutrib-e-rañgīñ-navā tujh par

    ki har kāñTe meñ ne ruuh dauḌā gulistāñ

    ye sābit kar diyā tujh ko banā kar dast-e-qudrat ne

    ki ho saktī haiñ itnī ḳhūbiyāñ sūrat meñ insāñ

    nasīm-e-sub.h ThanDī saañs bhartī hai mazāroñ par

    udāsī muñh-añdhere dekhiye gor-e-ġharībāñ

    ye aalam kyā hai ik majmūa hai nāchīz zarroñ

    ye duniyā kyā hai ik tarkīb ajzā-e-pareshāñ

    havāoñ ke vo jhoñke vo khule maidān sardī

    vo lahreñ chāñd se ruḳhsār par zulf-e-pareshāñ

    hamārī zindagī kyā silsila ik dil dhaḌakne

    hamārī maut kyā jumbish hai ik jazbāt-e-pinhāñ

    banā deñgī yaqīñ hai 'josh' mard-e-bā-ḳhudā ik din

    tapish-andoziyāñ siine meñ barq-e-soz-e-pinhāñ

    dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki

    qadam rakhte hi shaq hone lagi diwar zindan ki

    KHuda ki rahmaten ai mutrib-e-rangin-nawa tujh par

    ki har kanTe mein tu ne ruh dauDa di gulistan ki

    ye sabit kar diya tujh ko bana kar dast-e-qudrat ne

    ki ho sakti hain itni KHubiyan surat mein insan ki

    nasim-e-subh ThanDi sans bharti hai mazaron par

    udasi munh-andhere dekhiye gor-e-ghariban ki

    ye aalam kya hai ek majmua hai nachiz zarron ka

    ye duniya kya hai ek tarkib ajza-e-pareshan ki

    hawaon ke wo jhonke wo khule maidan ki sardi

    wo lahren chand se ruKHsar par zulf-e-pareshan ki

    hamari zindagi kya silsila ek dil dhaDakne ka

    hamari maut kya jumbish hai ek jazbaat-e-pinhan ki

    bana dengi yaqin hai 'josh' mard-e-ba-KHuda ek din

    tapish-andoziyan sine mein barq-e-soz-e-pinhan ki

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now