dil-e-afsurda kyun kumhla raha hai
dil-e-afsurda kyuuñ kumhlā rahā hai
Thahar jā koī shāyad aa rahā hai
tire pahlū meñ ye ham ko milā hai
hamārā dard baḌhtā jā rahā hai
na monis hai na hamdam hai na sāthī
dil-e-nādāñ kahāñ Takrā rahā hai
ham ab Thukrā chuke haiñ donoñ aalam
hameñ tū kis liye Thukrā rahā hai
yahāñ tārīk hai saarā zamāna
mirī nazroñ se kyuuñ katrā rahā hai
mire ashkoñ se tāroñ meñ hai halchal
suhānī shab hai koī jā rahā hai
ḳhudā jaane vo aa.eñ yā na aa.eñ
bahut 'tasnīm' dil ghabrā rahā hai
dil-e-afsurda kyun kumhla raha hai
Thahar ja koi shayad aa raha hai
tere pahlu mein ye hum ko mila hai
hamara dard baDhta ja raha hai
na monis hai na hamdam hai na sathi
dil-e-nadan kahan Takra raha hai
hum ab Thukra chuke hain donon aalam
hamein tu kis liye Thukra raha hai
yahan tarik hai sara zamana
meri nazron se kyun katra raha hai
mere ashkon se taron mein hai halchal
suhani shab hai koi ja raha hai
KHuda jaane wo aaen ya na aaen
bahut 'tasnim' dil ghabra raha hai
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 106)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.