dil-e-bad-guman ke tawahhumat ajib hain
dil-e-bad-gumāñ ke tavahhumāt ajiib haiñ
mire naam ke ye hurūf saat ajiib haiñ
na taḳhaiyyulāt giraft-e-harf meñ aa sake
ye nuzūl-e-sher kī mushkilāt ajiib haiñ
tū talāsh kar koī aur ilāj-e-dil-e-hazīñ
ki davā-e-ishq ke muzmirāt ajiib haiñ
tire fikr ke bhī haiñ zāviye sabhī munfarid
tirī guftugū kī sabhī jihāt ajiib haiñ
ik anokhe dard ke paḌ rahe haiñ bhañvar yahāñ
abhī bahr-e-ġham meñ tamavvujāt ajiib haiñ
na faqīh koī samajh sakā na hī to sanam
ki ḳhudā se mere muāmalāt ajiib haiñ
sabhī manzaroñ ko ye dam-ba-ḳhud haiñ kiye hue
ye tirī nazar ke tahayyurāt ajiib haiñ
tirī tishnagī isī dast-e-zād kī muntazir
dil-e-ḳhush-gumāñ tirī ḳhvāhishāt ajiib haiñ
dil-e-bad-guman ke tawahhumat ajib hain
mere nam ke ye huruf sat ajib hain
na taKHaiyyulat giraft-e-harf mein aa sake
ye nuzul-e-sher ki mushkilat ajib hain
tu talash kar koi aur ilaj-e-dil-e-hazin
ki dawa-e-ishq ke muzmiraat ajib hain
tere fikr ke bhi hain zawiye sabhi munfarid
teri guftugu ki sabhi jihat ajib hain
ek anokhe dard ke paD rahe hain bhanwar yahan
abhi bahr-e-gham mein tamawwujat ajib hain
na faqih koi samajh saka na hi to sanam
ki KHuda se mere muamalat ajib hain
sabhi manzaron ko ye dam-ba-KHud hain kiye hue
ye teri nazar ke tahayyuraat ajib hain
teri tishnagi isi dast-e-zad ki muntazir
dil-e-KHush-guman teri KHwahishat ajib hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.