dil-e-be-iKHtiyar ki KHushbu
dil-e-be-iḳhtiyār kī ḳhushbū
us par is intizār kī ḳhushbū
is phaTe āsmāñ kī baa.is hai
ham se sīna-figār kī ḳhushbū
itnā be-sabr chaak siinā hai
sūñgh letā hai taar kī ḳhushbū
maḳhmalī pairahan se aatī hai
dāman-e-tār-tār kī ḳhushbū
kab tamām-umr saath rahtī hai
zo.am-e-nā-pā.edār kī ḳhushbū
bū-e-manzil meñ ghul hī jā.egī
ye mire pā-e-ḳhār kī ḳhushbū
kho ga.ī daur-e-hijr meñ 'nāyāb'
mere lail-o-nahār kī ḳhushbū
dil-e-be-iKHtiyar ki KHushbu
us par is intizar ki KHushbu
is phaTe aasman ki bais hai
hum se sina-figar ki KHushbu
itna be-sabr chaak sina hai
sungh leta hai tar ki KHushbu
maKHmali pairahan se aati hai
daman-e-tar-tar ki KHushbu
kab tamam-umr sath rahti hai
zoam-e-na-paedar ki KHushbu
bu-e-manzil mein ghul hi jaegi
ye mere pa-e-KHar ki KHushbu
kho gai daur-e-hijr mein 'nayab'
mere lail-o-nahaar ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.