dil-e-be-muddaa ka muddaa kya
dil-e-be-mudda.ā kā mudda.ā kyā
kisī sāz-e-shikasta kī sadā kyā
laraz jaatā huuñ zikr-e-ārzū se
yahī hai ārzūoñ kā sila kyā
vafā-nā-āshnā se kyā shikāyat
fusūñ-parvar nigāhoñ se gila kyā
tamavvuj hai na tuġhyānī na girdāb
ye dariyā-e-mohabbat ko huā kyā
garebāñ-chāk haiñ ham bhī chaman meñ
ḳhabar tujh ko nahīñ bād-e-sabā kyā
dil-e-majbūr kā sarmāya-e-zīst
fuġhān-e-sub.h-gāhī ke sivā kyā
shahīdān-e-vafā se koī pūchhe
mohabbat kyā hai taslīm-o-razā kyā
havā-e-tez bhī aa.e to kyā ġham
bujhā kartī hai qindīl-e-vafā kyā
tire altāf ke muhtāj haiñ sab
faqīh-o-rind kyā shāh-o-gadā kyā
mire dil se koī 'fārūq' pūchhe
jafā kyā hai taġhāful kyā adā kyā
dil-e-be-muddaa ka muddaa kya
kisi saz-e-shikasta ki sada kya
laraz jata hun zikr-e-arzu se
yahi hai aarzuon ka sila kya
wafa-na-ashna se kya shikayat
fusun-parwar nigahon se gila kya
tamawwuj hai na tughyani na girdab
ye dariya-e-mohabbat ko hua kya
gareban-chaak hain hum bhi chaman mein
KHabar tujh ko nahin baad-e-saba kya
dil-e-majbur ka sarmaya-e-zist
fughan-e-subh-gahi ke siwa kya
shahidan-e-wafa se koi puchhe
mohabbat kya hai taslim-o-raza kya
hawa-e-tez bhi aae to kya gham
bujha karti hai qindil-e-wafa kya
tere altaf ke muhtaj hain sab
faqih-o-rind kya shah-o-gada kya
mere dil se koi 'faruq' puchhe
jafa kya hai taghaful kya ada kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.