Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-be-tab ko kab wasl ka yara hota

Yagana Changezi

dil-e-be-tab ko kab wasl ka yara hota

Yagana Changezi

MORE BYYagana Changezi

    dil-e-be-tāb ko kab vasl yaarā hotā

    shādī-e-daulat-e-dīdār ne maarā hotā

    shab-e-ġham zahr khāne maza thā varna

    intizār-e-sahar-e-vasl ne maarā hotā

    shab-e-hijrāñ balā Taale nahīñ Taltī hai

    bhor kar dete agar zor hamārā hotā

    aa.ī jis shaan se madfan meñ savārī merī

    dekhte ġhair to marnā gavārā hotā

    kyuuñ na siine se lagī rahtī amānat terī

    dāġh-e-dil kyuuñ na hameñ jaan se pyārā hotā

    sar jhukā.e tirī ummīd pe baiThe haiñ ham

    qātil is baar amānat ko utārā hotā

    ek ho jaatī abhī kāfir-o-dīñ-dār raah

    agar un juTTī bhuvoñ ik ishārā hotā

    bhīgtī jaatī hai raat aur abhī sohbat hai garm

    jaam lab-rez isī aalam meñ hamārā hotā

    nigah-e-lutf se mahrūm huuñ ab tak saaqī

    saf-e-āḳhir taraf bhī ik ishārā hotā

    duur se sāġhar-o-mīnā ko khaḌā taktā huuñ

    dil koī rakhtā to mujh ko bhī pukārā hotā

    duur itnī na kabhī khiñchtī adam manzil

    kaash kuchh naqsh-e-qadam sahārā hotā

    yaas ab aap kahāñ aur kahāñ bāñg-e-jaras

    kaun is vādī-e-ġhurbat meñ tumhārā hotā

    dekhte rah ga.e 'yās' aap ne achchhā na kiyā

    Dūbte vaqt kisī ko to pukārā hotā

    sūrat-e-zāhirī ik parda-e-tārīk thī 'yās'

    husn-e-ma.anī kan-āñkhiyoñ se nazāra hotā

    dil-e-be-tab ko kab wasl ka yara hota

    shadi-e-daulat-e-didar ne mara hota

    shab-e-gham zahr hi khane ka maza tha warna

    intizar-e-sahar-e-wasl ne mara hota

    shab-e-hijran ki bala Tale nahin Talti hai

    bhor kar dete agar zor hamara hota

    aai jis shan se madfan mein sawari meri

    dekhte ghair to marna hi gawara hota

    kyun na sine se lagi rahti amanat teri

    dagh-e-dil kyun na hamein jaan se pyara hota

    sar jhukae teri ummid pe baiThe hain hum

    qatil is bar amanat ko utara hota

    ek ho jati abhi kafir-o-din-dar ki rah

    agar un juTTi bhuwon ka ek ishaara hota

    bhigti jati hai raat aur abhi sohbat hai garm

    jam lab-rez isi aalam mein hamara hota

    nigah-e-lutf se mahrum hun ab tak saqi

    saf-e-aKHir ki taraf bhi ek ishaara hota

    dur se saghar-o-mina ko khaDa takta hun

    dil koi rakhta to mujh ko bhi pukara hota

    dur itni na kabhi khinchti adam ki manzil

    kash kuchh naqsh-e-qadam hi ka sahaara hota

    yas ab aap kahan aur kahan bang-e-jaras

    kaun is wadi-e-ghurbat mein tumhaara hota

    dekhte rah gae 'yas' aap ne achchha na kiya

    Dubte waqt kisi ko to pukara hota

    surat-e-zahiri ek parda-e-tarik thi 'yas'

    husn-e-mani ka kan-ankhiyon se nazara hota

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 127)
    • Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
    • Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now