dil-e-diwana se haal-e-dil-e-diwana kahte hain
dil-e-diwana se haal-e-dil-e-diwana kahte hain
Habibur Rahman Siddiqui
MORE BYHabibur Rahman Siddiqui
dil-e-dīvāna se hāl-e-dil-e-dīvāna kahte haiñ
hamīñ haiñ sunñe vaale aur hamīñ afsāna kahte haiñ
sunā hai phir bahār aa.egī is ujḌe hue ghar meñ
banegā ik jahān-e-ārzū vīrāna kahte haiñ
sar-e-iḳhlās jis kā mahv-e-sajda ho tire dar par
vo kyā jaane kise ka.aba kise but-ḳhāna kahte haiñ
dam-e-āḳhir hai aa jaao marīz-e-ġham kī bālīñ par
zarā sun lo lab-e-ḳhāmosh kyā afsāna kahte haiñ
naqāb-e-ruḳh ulaTnā ḳhirman-e-hastī kā jal jaanā
isī bijlī ko shāyad jalva-e-jānāna kahte haiñ
dil-e-diwana se haal-e-dil-e-diwana kahte hain
hamin hain sunne wale aur hamin afsana kahte hain
suna hai phir bahaar aaegi is ujDe hue ghar mein
banega ek jahan-e-arzu virana kahte hain
sar-e-iKHlas jis ka mahw-e-sajda ho tere dar par
wo kya jaane kise kaba kise but-KHana kahte hain
dam-e-aKHir hai aa jao mariz-e-gham ki baalin par
zara sun lo lab-e-KHamosh kya afsana kahte hain
naqab-e-ruKH ulaTna KHirman-e-hasti ka jal jaana
isi bijli ko shayad jalwa-e-jaanana kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.