dil-e-gustaKH ko lazim hai jalaya hota
dil-e-gustāḳh ko lāzim hai jalāyā hotā
ishq ma.asūm thā jhagḌe meñ na laayā hotā
terī tāzīm meñ uTThī haiñ jo aaheñ fauran
ik nazar dekh ke un ko to biThāyā hotā
log jo ishq pe ghar-bār luTā kar aa.e
vāris-e-sher-o-suḳhan un ko banāyā hotā
mere vijdān meñ rahte haiñ kisī yaad ke dukh
ḳhvāb kuchh bhej ke yādoñ ko sulāyā hotā
mujh ko mahrūm-e-vafā dekh ke nauha kahte
ishq-e-maġhmūm pe mātam hī manāyā hotā
ek ib.hām hai ghūmegā muqaddar phir se
kaaT ke haath lakīroñ ko ghumāyā hotā
un ko bīmār ke lahje kī thakan yaad nahīñ
tujh sā be-ġharz masīhā na ḳhudāyā hotā
ye mirī sift 'ḳhalīl' aaj mujhe le Duubī
sach ne suulī pe chaḌhāyā na chaḌhāyā hotā
dil-e-gustaKH ko lazim hai jalaya hota
ishq masum tha jhagDe mein na laya hota
teri tazim mein uTThi hain jo aahen fauran
ek nazar dekh ke un ko to biThaya hota
log jo ishq pe ghar-bar luTa kar aae
waris-e-sher-o-suKHan un ko banaya hota
mere wijdan mein rahte hain kisi yaad ke dukh
KHwab kuchh bhej ke yaadon ko sulaya hota
mujh ko mahrum-e-wafa dekh ke nauha kahte
ishq-e-maghmum pe matam hi manaya hota
ek ibham hai ghumega muqaddar phir se
kaT ke hath lakiron ko ghumaya hota
un ko bimar ke lahje ki thakan yaad nahin
tujh sa be-gharz masiha na KHudaya hota
ye meri sift 'KHalil' aaj mujhe le Dubi
sach ne suli pe chaDhaya na chaDhaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.