dil-mohalla ghulam ho jae
dil-mohalla ġhulām ho jaa.e
koī is kā imaam ho jaa.e
daftar-e-ishq kaash tum aao
mere jaisoñ kā kaam ho jaa.e
yuuñ to rakkhā hai pyaas kā roza
aa ga.e ho to jaam ho jaa.e
phir zabān-e-ḳhudā pe lafz-e-kun
jashn kā ehtimām ho jaa.e
chup kā ghuñghaT uThā ke hoñToñ se
jān-e-jānāñ kalām ho jaa.e
qais-o-farhād kī tarah 'hāshim'
bas mohabbat meñ naam ho jaa.e
dil-mohalla ghulam ho jae
koi is ka imam ho jae
daftar-e-ishq kash tum aao
mere jaison ka kaam ho jae
yun to rakkha hai pyas ka roza
aa gae ho to jam ho jae
phir zaban-e-KHuda pe lafz-e-kun
jashn ka ehtimam ho jae
chup ka ghunghaT uTha ke honTon se
jaan-e-jaanan kalam ho jae
qais-o-farhad ki tarah 'hashim'
bas mohabbat mein nam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.