dil-e-muztar ki aashnai se
dil-e-muztar kī āshnā.ī se
ġham lage ab haiñ pārsā.ī se
terī āñkhoñ kī ek diid ke ba.ad
koī shikva nahīñ ḳhudā.ī se
dil nahīñ lag rahā tumhāre baġhair
jhuuT bole haiñ kis safā.ī se
us se pūchho ki kyā guzartī hai
jo guzartā hai bevafā.ī se
ishq vāloñ ko mashvara hai mirā
niiñd behtar hai rat-jagā.ī se
dil-e-muztar ki aashnai se
gham lage ab hain parsai se
teri aankhon ki ek did ke baad
koi shikwa nahin KHudai se
dil nahin lag raha tumhaare baghair
jhuT bole hain kis safai se
us se puchho ki kya guzarti hai
jo guzarta hai bewafai se
ishq walon ko mashwara hai mera
nind behtar hai rat-jagai se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.