dil-e-muztar ko samjha lun bahut hai
dil-e-muztar ko samjhā luuñ bahut hai
maiñ ḳhud se apnā ghar chhālūñ bahut hai
maiñ apnī zindgī-e-bevafā ko
vafā ke jaam meñ Dhālūñ bahut hai
bhigo kar āñsuoñ se apnā chehra
safar kī gard dho Dālūñ bahut hai
sukūt-e-anjuman TuuTe na TuuTe
ba-shauq-e-zamzama gā luuñ bahut hai
navāh-e-zindagī meñ ik zarā sā
fareb-e-dostī khā luuñ bahut hai
koī bhūlā sabaq pārīna qissa
maiñ dil hī dil meñ dohrā luuñ bahut hai
na jaa.e rā.egāñ zauq-e-tajassus
maiñ apne aap ko pā luuñ bahut hai
jo sañg-e-mīl rahzan ke liye hai
vo sañg-e-rāh uThvā luuñ bahut hai
'sabā' dīvār-e-zindān-e-balā se
maiñ apne sar ko Takrā luuñ bahut hai
dil-e-muztar ko samjha lun bahut hai
main KHud se apna ghar chhaalun bahut hai
main apni zindgi-e-bewafa ko
wafa ke jam mein Dhaalun bahut hai
bhigo kar aansuon se apna chehra
safar ki gard dho Dalun bahut hai
sukut-e-anjuman TuTe na TuTe
ba-shauq-e-zamzama ga lun bahut hai
nawah-e-zindagi mein ek zara sa
fareb-e-dosti kha lun bahut hai
koi bhula sabaq parina qissa
main dil hi dil mein dohra lun bahut hai
na jae raegan zauq-e-tajassus
main apne aap ko pa lun bahut hai
jo sang-e-mil rahzan ke liye hai
wo sang-e-rah uThwa lun bahut hai
'saba' diwar-e-zindan-e-bala se
main apne sar ko Takra lun bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.