dil-e-pazh-murda ko ham-rang-e-abr-o-baad kar dega
dil-e-pazh-murda ko ham-rang-e-abr-o-bād kar degā
vo jab bhī aa.egā is shahr ko barbād kar degā
vo saare rābte toḌegā ham se aur achānak phir
ta'alluq kī na.ī sūrat koī ījād kar degā
guzar jā.egī ye bhī shaam pichhlī shaam ke mānind
ki maiñ kuchh 'arz kar dūñgā vo kuchh irshād kar degā
maiñ us se milne kyoñ dil ko bhalā hamrāh le jā.ūñ
ki ye ik 'umr kī mehnat mirī barbād kar degā
dil-e-pazh-murda ko ham-rang-e-abr-o-baad kar dega
wo jab bhi aaega is shahr ko barbaad kar dega
wo sare rabte toDega hum se aur achanak phir
ta'alluq ki nai surat koi ijad kar dega
guzar jaegi ye bhi sham pichhli sham ke manind
ki main kuchh 'arz kar dunga wo kuchh irshad kar dega
main us se milne kyon dil ko bhala hamrah le jaun
ki ye ek 'umr ki mehnat meri barbaad kar dega
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 54)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.