Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-pur dagh bagh kis ka hai

Wazir Ali Saba Lakhnavi

dil-e-pur dagh bagh kis ka hai

Wazir Ali Saba Lakhnavi

MORE BYWazir Ali Saba Lakhnavi

    dil-e-pur daaġh baaġh kis hai

    dīda-e-tar ayāġh kis hai

    mai-kada sehn-e-bāġh kis hai

    sāġhar-e-gul ayāġh kis hai

    daaġh chamkā chalī nasīm-e-bahār

    ye havā meñ charāġh kis hai

    kyuuñ kaheñ zulf-e-yār ko sumbul

    yaañ pareshāñ dimāġh kis hai

    dil-e-pur-dāġh yahī hai bahār

    na khule ḳhāna baaġh kis hai

    nāsehā maġhz kyuuñ phirātā hai

    chal tirā dimāġh kis hai

    chaar unsur ke sab tamāshe haiñ

    vaah ye chār-bāġh kis hai

    arsh-e-ālī pe fikr-e-ālī hai

    ham ne paayā surāġh kis hai

    kis maskan hai sīna-e-ārif

    dil-e-raushan charāġh kis hai

    jeb-e-gul kis pe chaak rahtā hai

    dil meñ laale ke daaġh kis hai

    dīn-o-duniyā ko tark kar baiThe

    aur naam infirāġh kis hai

    ai junūñ tere vāste sab haiñ

    baaġh kis hai raaġh kis hai

    yaar allāh re terā aalam

    dekh ye dil meñ daaġh kis hai

    māh-rū aur bhī haiñ duniyā meñ

    yuuñ falak par dimāġh kis hai

    ai 'sabā' is zamīñ meñ aise sher

    aisā aalī dimāġh kis hai

    dil-e-pur dagh bagh kis ka hai

    dida-e-tar ayagh kis ka hai

    mai-kada sehn-e-bagh kis ka hai

    saghar-e-gul ayagh kis ka hai

    dagh chamka chali nasim-e-bahaar

    ye hawa mein charagh kis ka hai

    kyun kahen zulf-e-yar ko sumbul

    yan pareshan dimagh kis ka hai

    dil-e-pur-dagh ki yahi hai bahaar

    na khule KHana bagh kis ka hai

    naseha maghz kyun phiraata hai

    chal tera sa dimagh kis ka hai

    chaar unsur ke sab tamashe hain

    wah ye chaar-bagh kis ka hai

    arsh-e-ali pe fikr-e-ali hai

    hum ne paya suragh kis ka hai

    kis ka maskan hai sina-e-arif

    dil-e-raushan charagh kis ka hai

    jeb-e-gul kis pe chaak rahta hai

    dil mein lale ke dagh kis ka hai

    din-o-duniya ko tark kar baiThe

    aur nam infiragh kis ka hai

    ai junun tere waste sab hain

    bagh kis ka hai ragh kis ka hai

    yar allah re tera aalam

    dekh ye dil mein dagh kis ka hai

    mah-ru aur bhi hain duniya mein

    yun falak par dimagh kis ka hai

    ai 'saba' is zamin mein aise sher

    aisa aali dimagh kis ka hai

    Source :
    • Ghuncha-e-Arzu
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now