Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-shahid hua hai shahid-e-husn-e-sifat

Pandit Jawahar Nath Saqi

dil-e-shahid hua hai shahid-e-husn-e-sifat

Pandit Jawahar Nath Saqi

MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi

    dil-e-shahīd huā hai shahīd-e-husn-e-sifāt

    pilāyā zauq-e-nazar ne bhī jām-e-āb-e-hayāt

    adam vajūd ta.ayyun sifāt jalva-e-zāt

    ġhalat hai vahm duī nafi hai ye fil-asbāt

    nigāh-e-lutf se dekho hameñ bhī husn-ārā

    kahāñ hai rañg-e-tajāhul ye dāḳhil-e-hasnāt

    faroġh-e-jazb-e-anal-haq meñ ra.g-e-hū haq hai

    hue jo ahl-e-nazar un saaf hai mirrāt

    hamārā sheva-e-taslīm hai razā-ba-qazā

    adā-e-ra.g-e-tavakkul hai qāzī-ul-hājāt

    kamāl-e-ishq hai 'sāqī' faroġh-e-husn-e-amal

    ye rañg-e-sheva-e-ahsan hai dāḳhil-e-hasnāt

    dil-e-shahid hua hai shahid-e-husn-e-sifat

    pilaya zauq-e-nazar ne bhi jam-e-ab-e-hayat

    adam wajud tayyun sifat jalwa-e-zat

    ghalat hai wahm dui nafi hai ye fil-asbaat

    nigah-e-lutf se dekho hamein bhi husn-ara

    kahan hai rang-e-tajahul ye daKHil-e-hasnat

    farogh-e-jazb-e-anal-haq mein rag-e-hu haq hai

    hue jo ahl-e-nazar un ka saf hai mirraat

    hamara shewa-e-taslim hai raza-ba-qaza

    ada-e-rag-e-tawakkul hai qazi-ul-hajat

    kamal-e-ishq hai 'saqi' farogh-e-husn-e-amal

    ye rang-e-shewa-e-ahsan hai daKHil-e-hasnat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now