dil-e-sitam-zada betabiyon ne luT liya
dil-e-sitam-zada betābiyoñ ne luuT liyā
hamāre qible ko vahhābiyoñ ne luuT liyā
kahānī ek sunā.ī jo hīr-rāñjhā kī
to ahl-e-dard ko punjabiyoñ ne luuT liyā
ye mauj-e-lāla-e-ḳhud-rav nasīm se bole
ki koh-o-dasht ko sairābiyoñ ne luuT liyā
sabā qabīla-e-lailā meñ uḌ ga.ī ye ḳhabar
ki naaqa najd ke a.arābiyoñ ne luuT liyā
kisī tarah se nahīñ niiñd aatī 'inshā' ko
isī ḳhayāl meñ be-ḳhvābiyoñ ne luuT liyā
dil-e-sitam-zada betabiyon ne luT liya
hamare qible ko wahhabiyon ne luT liya
kahani ek sunai jo hir-ranjha ki
to ahl-e-dard ko punjabiyon ne luT liya
ye mauj-e-lala-e-KHud-raw nasim se bole
ki koh-o-dasht ko sairabiyon ne luT liya
saba qabila-e-laila mein uD gai ye KHabar
ki naqa najd ke aarabiyon ne luT liya
kisi tarah se nahin nind aati 'insha' ko
isi KHayal mein be-KHwabiyon ne luT liya
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.